Yesu ne apna khun baha ke

Published August 21, 2026
Chorus:
Yesu ne apna khun baha ke,
mujhe bacha liya
Kyun main na gaunga gunn usi ke,
mujhe bacha liya
1. Main jab gunahon men pada hua tha, Yesu a giya,
Usi ke mare jane se main jiwan bhi pa giya,
Is liye gaunga gunn usi ke, mujhe bacha liya
2. Mere gunahon ka bojh utha ke, kiya kiya na us ne saha
Mere gunohun ko muaf karane, khoon bhi us ka baha
Kitna anokha hai piar Prabhu ka, mujhe bachha liya
3. Seva karenge piarey Prabhu ki, jaisa ke us ne kaha
Mar bhi mitenge piare Prabhu men, jaisa ke us ne saha
Har dam hum gaenge git usi ke, hamen bacha liya