Mai Aur Mera Sara Gharanna

Published August 21, 2026
Mai aur mera sara gharanna
Karenge khidmat teri Khuda
Paak Rooh Se bhar de hum ko
Bane rahen hum tere sada
Auron ki babat na Janay
Apni baat karain
Dukh aur sukh men hum hamesha
Teri humd Karain
Bane raihan hum tuj main hamesha
Yehi tamanna yehi dua
Badal ban kar raha tu hardam
Apne logon par
Man aur salwa bhi utara
Apne logon par
Takeh bane woh Teri ummat
Aur rahain woh Tere sada
Imaan mere ko aise kuwat
Baksh de mere khuda
Kabhi na toron hukum mai tera
Kabhi na karun gunah
Kar de khatayen muaf meri ab
Phir na karun mai aisi khata