Badshahon ka Badshah hai
Published August 21, 2026
Chorus:
Badshahon ka Badshah hai
Woh Rajaon ka Raja hai
Yesu Uska naam hai
Woh mera muktidata hai
1. Uski azmat ke tarane, Har jagah gate chalo
Taskare Uski wafa ke, Yunhi dohrate chalo
Ibtida hai, intiha hai. Alpha hai, Omega hai
Woh mera muktidata hai
2. Sari duniya ke gunahon Ka kafara ho gaya
Jo zamane ke muqadar Ka sitara ho gaya
Zindagi hai, shanti hai, Khud Khuda hai,
Khud hi Rooh hai, Woh mera muktidata hai
3. Jo Khuda-e-do-jahan ka, Roop hai tasveer hai
Jo kalaam-e-paak ka, Mamoor hai tafseel hai
Ibn-e-Adam, ibn-e-Mariyam, Khalik ka eklauta hai
Woh mera muktidata hai.