Ai Sab Imandaro

Published August 21, 2026
1. Ai sab imandaro, khush o khuram hoke,
Ab aao ham chalen taham Bethelehem
Dekho nauzada Malik kul jahan ka
Chorus:
Hum usse sijda karen, (3)
Rab mahmood
2. Khuda se khuda hai, noor se sachha noor hai,
Jo Mariyam kunwari se ab hai maulud
Barhaq Khuda hai Baap se mutwalid. Hum usse…
3. Ai sare farishto, khush awaaz se gao,
Aasman ke bashindo shamil ho,
Dar Alam-e-bala ho tarif khuda ki. Hum usse…
4. Khudawand Masiha, aaj Tu paida hua,
Mubarrak, mubarrak ho Tera naam,
Baap ka kalaam ab hua hai mujassim. Hum usse…